Mere dil ke andar chalati hai khanjar
bachalo mujhe us nazar se bachalo
bachalo mujhe us nazar se bachalo
hai kadam zindagi....
Song details
Lyrics
Mere dil ke andar chalati hai khanjar
bachalo mujhe us nazar se bachalo
bachalo mujhe us nazar se bachalo
hai kadam zindagi ke behekne lage hai
are mai gira koi mujhko sambhalo
are mai gira koi mujhko sambhalo
mere dil ke andar chalati hai khanjar
bachalo mujhe us nazar se bachalo
ye lamba sa kad ye lachakdaar bahe
ye tapta badan ye pighalti nigahe
ye lamba sa kad ye lachakdar bahe
kuch sunau to badi mushkil hai
or chupau to badi mushkil hai
muh ko feru to kayamat aaye
ye lamba sa kad ye lachakdaar bahe
ye tapta badan ye pighalti nigahe
kahi meri duniya jala de na jalim
magar ye shola mere samne se hatalo
ye shola mere samne se hatalo
hatalo bachalo hatalo bachalo
ye shola mere samne se hatalo
bachalo mujhe us nazar se bachalo
mai khushkismati se yaha aa gaya hu
tamanna thi jinki unke pa gaya hu
fir mujhe zindagi kya pyar mila
dhundhta tha jise wo yaar mila
unke milne se aayi aisi bahar
jaise veerane me gulzaar khila
mai khushkismati se yaha aa gaya hu
tamanna thi jinki unke paas gaya hu
zamane ki khushiyo mere pas aao
utho aaj mujhko gale se lagalo
utho aaj mujhko gale se lagalo
meri jaan bharke nazar dekho to
mai tumhara hu idhar dekho to
khel hai ye sab tumhari khatir
apne aashiq ka jigar dekho to
tum meri jaan bhi iman bhi ho
tum hi ummid bhi armaan bhi ho
janta hu mai tumhare dil ko
tum mere ishq pe kurbaan bhi ho
badi khubsurat ho tum haye haye
kahi tumko meri nazar lag na jaye
chupalo mujhe apne dil me chupalo